Home →
Music Albums
→ Anmol Vani ACD
![]() Anmol Vani ACD Collection of Sindhi and Hindi Songs sung by Kanu Ratan Butani. Music by Sameer Khole. Singer(s): Kanu Ratan Butani Format: ACD Release: 2015 (All the 6 songs are available for Listening & Download.)  Commercial
'Mata Pita Chalisa - ' LyricsMata Pita Chalisa Shree Ganesh ka naam leke, Bolo Jai Shree Ram Maat pita ki vandana ka, Chit dharo vishram Maa ki god mein beth kar, khele bachpan saara Pita ke sang duniya ka, samjha khel ye saara Jai Jai Maat Pita ko vandan, Unsey judda rahey ye jeevan Maat Pita ki aasees lekar, din chariya tu apni shuru kar Peron ko tu chhukar unkey, apna sar rakh tu charno mein jeet jayega haari baazi, Rab bhi tujh pey hoga raazi Maat pita ke aankh mein aasoon, dukh ne na sirf khushi ke aasoon Jis ne har dum diya hai sukh, Unko kabhi na dena dukh Unkey hi milan se jaano, tum iss jahaan mein aaye ho woh dono hain keval sach, baaki saara jhoota jag paap hai unko dukh dena, Punya hai seva karna Maat yashodha krishan ki maiya, nand they jin ke baapaiya Unki leela hasaati thi, kabhi na woh rulaati thi Ram prushotam putr mahaan, Koshaliya Dashrath ki shaan Pita hukum sar aankhon par, Liye nikla banvaas par Sharvan tha sarvsresht Putr, Maat Pita ko karaye teerth apne kaandhon lekar woh, dono ko yatra karata woh Putri Sita ne har dum maana, apne pita ka aadar sanmaana Janak ne suyamber rachaya, Usey Ram sang vida karaya Ab tera sasural hai sabh kuchh, tere pati ka maan hai sabh kuchh Maat Pita sad vandniya hain, charan tina ke chandniya hain Unki mahima jitni gaao, unki garima dugni paao Gaandhari baandhe akh patti, Drithrasht se thi jab bihaee saalon baad druyodhan ko dekha, dekhtey hi sharir ban gaya heera ab koi na maar sakey ga, itni shakti se bhar diya Shankar aur Gauri ka baalak, hai saari srishti ka paalak Maat Pita ne ver diya ussko, Pehle sabh dhiyaenge tujhko Ussey sah gunn sampoorn kiya, Ved Puran sey nipoorn kiya Kans kahir sey bachney ko, bhej diya door krishan ko aadhi raat jab janam liya, sab sey ussey tha chhipa liya devki vastey dekhe khilkar, phir tokri mein rakha milkar tez toofan baha tulney, pahuchaya surakshit gokul mein Maat Pita rakshak hain daani, Pahuncha nahin sakte ko haani Unki kar dilse seva, uss mein paayega meva Anmol janam jo prapt hai, Maat Pita ki doulat hai Anjana kesari ki bhakti sey, Shiv atti prasan huey Ver diya ik putr roop mein, Hanumaan Unko janmey Hanuman veerta ankahi, Maat Pita ne Ussko di Apna madh tu kardey choole, maat pita ke charn ki dhule swarg dhaam ki prapti hogi, Rog na hogi banega jogi Maat Pita sey sajyo sansaar, Unn sang ghar banao darbar Kaano mein Maat Pita ka naam, Unkey to woh1 chaaro dhaam Maat Guru hain Pita Guru hain, Guru ka darja de unko Unkey vachan bhgwan siyo, apnaley jeevan mien unko Maat Guru hain Pita Guru hain, Guru ka darja de unko Unkey vachan bhgwan siyo, apnaley jeevan mien unko
|
24 hour Sindhi broadcast
With variety of 7 stations
Sindhi Keyboard Arabic Unicode